Header Ads

Breaking News

What is a Crack

1:Cracks hoty kya hain?
Ans: cracks aisy tools hoty hain jo k kisi bhi paid software ko bina purchase kiye chala sakty hain.
2: cracks kis trah banty hain?
Ans:
 cracks us paid software ki reverse engineering kar k bnay jaty hain mtlb k crackers us software ka source code open karty hain aur woh location jahan pay woh crack software validation karty hain k aap ka box computer k sath attach hay ya nhi hay aur agar attach hay to kya woh valid hay is trah aik do validation k bad woh software run ho jata hay to crackers usi code ko disable kar dety hain jis sy woh software ye check hi nhi karta k box laga hwa hay ya nhi woh bypass ho k run ho jata hay.
3: RAT kaisy kaam karta hay?
Ans:
 RAT (Remote Administration Tool) jesa k aap naam sy hi maloom kar sakty hain k ye kis type ka software hay phr bhi aap ko bta deta hon k ye kya work karta hay RAT ka kaam ye hota hay k hacker aap k computer ko remotely access kar sakta hay woh bhi bina aap ki permission k aur bina aap ko pata chaly k hacker kya kar rha hay. woh is k through aap ka tamam data apny pc me nikal sakta hay aur aap jis jis site pay login karty ho us ka record dekh sakta hay aap k pc k screenshot lay sakta hay aap ka webcam use kar sakta hay aur aap k sath har woh kuch kar sakta hay jo aap apny pc pay kar sakty hain.
4: kya rat sirf online work karty hain ya offline bhi work kar sakty hain?
Ans:
 RAT aksar online work karty hain mtlb k jis time aap ka net chal rha ho ga aap ko usi waqt access kya ja skata hay but RAT k andar hi keylogger use kya jata hay jo k aap k type kiye hwy tamam keys ko store karta hay sath sath me screenshots bhi leta rehta hay aur jab aap net connect krty hain woh data hacker ko bhej deta hay chahy aap woh crack use kar rhy hon ya na use kar rhy hon.
5: kya cracks k sath RAT use kya ja sakta hay.
Ans:
 ji han. RAT aksar aisy paid software k sath use hoty hain jo k running me hoty hain aur log us ko download karna pasand karty hain aur hackers hamesha ziada sy ziada logon ko hack karna chahty hain. woh crack bnany k bad us k software me RAT ko attach kar dety hain aur jab woh aap download karty hain aur aap crack use karty hain to aap software ko aaram sy use kar paaty hain aur aksar cracks waly aap ko ye recomment karty hain k aap antivirus ko band kar dain ta k easily RAT run ho sky q k antivirus us ko pakr lety hain.
6: crackers crack q bnaty hain?
Ans:
 crackers darj zail wajoogat ki bina pay cracks bnaty hain
pehli wajah ye hay k unhon ny earning karni hoti hay jis ki wajah sy woh paid software k crack bna k sale karty hain aur earning karty hain
2nd: woh market ko kill karny k liye karty hain q k un ka panga ho chuka hota hay device banany waly k sath aur is sorat me woh aksar free me dety hain cracks
3rd: woh market ko kill karny k sath sath paisa kamana chahty hain
4th: woh aap ko hack karna chahty hain aur aap k accounts aur even k aap k data tak access chahty hain
5th: woh aap ko hack karny k sath sath aap ko sale bhi karty hain ta k aap ko shak na ho k woh aap ko hack kar rhy hain
6th: un ka company k owner k sath panga ho jata hay woh us ki device ki market kharab karny k sath sath us me RAT bhi dal dety hain ta k us ki device ki market bhi kharab ho aur sath sath woh aap k data tak access hasil kar lain aur sath sath me woh aap sy kama bhi lain.
to aap ko kya lagta hay crackers ziada tar konsi categories k hon gay khas kar GSM ki field waly aap nichy comments me btain k Devices k cracks bnany waly kin categories k hoty hain.



Thanx GSM Player
Umair AbuBakar

No comments